120+ Love Intezaar Shayari in English, Waiting Quotes & Status

Waiting (intezaar) for your special person is always a lovely moment filled with hope, pain, and silent emotions that are hard to express. Witing love shayari helps to turn those feelings into beautiful words. Here we share shayari on waiting (intezaar) in English, heartfelt lines, and waiting quotes in Roman English text. These 2 line intezaar (waiting) shayari in English for girlfriend express love, patience, and longing in a simple and heart touching way. You can share with your love, if you feel sad and lonely so, leave i miss you message for them.

Intezaar Shayari in English

Intezaar Shayari in English

Muddat hui palk se palk aashna nahi
Kya is se ab zyada kare intezaar chashm

Meri har shab isi umeed mein kat jati hai
Woh abhi aaya abhi mera muqaddar jaaga

Din guzarte ja rahe hain aur hujoom-e-khush gumaan
Muntazir baitha hai aab o khak se bichhra hua

Yaaro dua karo yeh koi haadsa na ho
Pehle yun intezaar mein lazzat kabhi na thi

Kya hai aaj wada kis ne aane ka Khuda jaane
Nazar aata hai chashm-e-shauq darwaza mere ghar ka

Inteha ho gayi intezaar ki, ab dil ko bhi sabar nahi aata
Teri yaadon ka mausam hai, jo har pal paas chala aata hai

Intezaar ka phal meetha hota hai, yeh dil ko samajh aata hai
Jitni der se milta hai, utna hi pyaar gehra ho jata hai

Shayad yeh intezaar ki lau faisla kare
Main apne sath hoon ke dareechon ke sath hoon

Shab-e-intezaar aakhir kabhi hogi mukhtasir bhi
Yeh chiragh bujh rahe hain mere sath jalte jalte

Ab unhein tashreef lana chahiye
Raat mein likhti hai rani raat ki

Ishq jis se ho teri raah taki jati hai
Hijr jis se ho tujhe yaad kiya jata hai

Gar intezaar kathin hai to jab talak aye dil
Kisi ke waade-e-farda ki guftagu hi sahi

Shabi wisal ki intizaar woh kia jane
Jis ne kabbhi gam dekha he nai

Yeh bhi ek raat kat hi jayegi
Subah-e-farda ki muntazir hai nigah

Misaal e shama jala hoon, dhuaan sa bikhra hoon
Main intezaar ki har kaifiyat se guzra hoon

Us ka wada hai laut aane ka
Aur mera intezaar ka wada

Tera Intezaar Shayari in Roman English

Tere intezaar mein is tarah mera ahd-e-shauq guzar gaya
Sar-e-shaam jaise bisat-e-dil koi khasta haal samet le

Sadiyon tak ehtemaam-e-shab-e-hijr mein rahe
Sadiyon se intezaar-e-sehar kar rahe hain hum

Khatam ho jayega jis din bhi tumhara intezaar
Ghar ke darwaze pe dastak cheekhti reh jayegi

Yun raat gaye kis ko sada dete hain aksar
Woh kaun hamara tha jo wapas nahi aaya

Raat bhi murjha chali, chaand bhi kumhla gaya
Phir bhi tera intezaar dekhiye kab tak rahe

Gham-e-jahan ko sharmsaar karne wale kya hue
Woh saari umr intezaar karne wale kya hue

Woh jald aayenge ya der mein Khuda jaane
Main gul bichhaun ke kaliyan bichhaun bistar par

Is hawa mein kar rahe hain hum tera hi intezaar
Aa kahin jaldi se saaqi sheesha o saghar samet

Guzar hi jayenge tere firaaq ke mausam
Har intezaar ke aage bhi hain maqam kai

Ishq mein yaar gar wafa na kare
Kya kare koi aur kya na kare

Aah qasid tu ab talak na phira
Dil dhadakta hai kya hua hoga

Kabhi is raah se guzre woh shayad
Gali ke mor par tanha khada hoon

Katte kisi tarah se nahi haaye kya karun
Din ho gaye pahaad mujhe intezaar ke

Ek ghadi zindagi mein aati hai
Maut ka intezaar hota hai

Tujhe gale se laga ke bhi dekha jayega
Abhi to mujh ko tera intezaar karna hai

Barseingi aaj rehmatain aamad hai yaar ki
Nayab hain yeh ghadiyan tere intezaar ki

Ishq kache ghade pe doob gaya
Lamha jab intezaar ka aaya

Hai ain wasl mein bhi meri chashm su-e-dar
Lipaak jo par gaya hai mujhe intezaar ka

Kabhi dar par kabhi hai raste mein
Nahi thakti hai intezaar se aankh

Chaman mein shab ko ghira abr-e-nau bahaar raha
Huzoor aap ka kya kya na intezaar raha

2 Line Shayari on Intezaar in English

2 Line Shayari on Intezaar in English

Woh na aayega humein maloom tha us shaam bhi
Intezaar us ka magar kuch soch kar karte rahe

Dete hain jannat hayat-e-dahr ke badle
Nasha be andaz-e-khumar nahi hai

Giriya nikaley hai teri bazm se mujh ko
Haye ke rone pe ikhtiyar nahi hai

Dil se utha lutf-e-jalwah haaye maani
Ghair gul aaina-e-bahar nahi hai

Qatl ka mere kya hai ahd to baare
Waye agar ahd-e-ustuwar nahi hai

Tu ne qasam mai-kashi ki khayi hai Ghalib
Teri qasam ka kuch aitbaar nahi hai

Guzar rahe hain shab o roz tum nahi aati
Riyaz-e-zeest hai aazurda-e-bahar abhi

Mere khayal ki duniya hai sogwaar abhi
Jo hasratein tere gham ki kafeel hain pyari

Tawil raatein abhi tak tawil hain pyari
Udaas aankhein teri deed ko tarasti hain

Yun bhi nahi ke shaam o sehar intezaar tha
Kehte nahi the munh se magar intezaar tha

Muddat ke baad phool ki soorat khula tha dil
Shabnam ki tarah taza o tar intezaar tha

Jaanta hai ke woh na aayenge
Phir bhi masroof-e-intezaar hai dil

Na koi wada na koi yaqeen na koi umeed
Magar humein to tera intezaar karna tha

Mana ke teri deed ke qabil nahi hoon main
Tu mera shauq dekh, mera intezaar dekh

Yeh na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yehi intezaar hota

Intezaar-e-yaar mein haalat hai aisi meri
Na neend aati hai na jaan jati hai

Jis simt pe intezaar mein hum ne saari umar guzaar di
Kitne maghroor thay woh log jo mud ke dekh hi nahi

Intezar-e-deed mein meher talay kharay rahe
Aur kabhi manind-e-sang-e-rah paray rahe

Zindagi mein bade nasheeb o faraaz hain
Tere bin jeena hai dushwaar usay kehna

Intezaar Shayari in English for Girlfriend

Bayaan karun kaise tera intezaar hai, har saans mein tera hi khayal hai
Dil maanta nahi ab kisi aur ko, bas tera hi intezaar hai

Inteha ho gayi intezaar ki, kahin karta hoga woh mera intezaar
Main yahin khadi hoon aaj bhi, usi pal ka hai aitbaar

Haan tera intezaar hai hamsafar, har raah tujh tak jaati hai
Meri har khushi ki wajah tu hai, bas teri hi aas baaki hai

Tere bina yeh dil udaas rehta hai, har pal tera ehsaas rehta hai
Intezaar tera hi hai ab zindagi, har ghadi tera paas rehta hai

Bayaan karun kaise tera intezaar hai, lafzon mein yeh samjhana mushkil hai
Tu hi mera kal bhi tha, tu hi mera aaj bhi hai

Inteha ho gayi intezaar ki, phir bhi yeh dil nahi thakta hai
Har lamha teri raah takte hue, bas tera naam rakhta hai

Haan tera intezaar hai hamsafar, tu aaye to safar mukammal ho
Warna yeh zindagi adhuri si, tere bina sab be-matlab ho

Tera intezaar aankhon mein basa hai, neend bhi ab bewajah roothi hai
Dil ke har kone mein tu hi tu, bas teri yaad hi chhoti hai

Bayaan karun kaise tera intezaar hai, har shaam tera intezaar hai
Tu aaye to roshni ho jaye, warna har din bekaar hai

Inteha ho gayi intezaar ki, par umeed abhi bhi zinda hai
Shayad tu laut aaye kisi pal, yahi dil ka armaan hai

Haan tera intezaar hai hamsafar, har dua mein tera naam hai
Tu hi meri manzil hai ab, tu hi mera inaam hai

Tere intezaar mein pal guzar rahe hain, dil phir bhi tujhe hi pukarta hai
Har lamha bas teri hi khwahish, yeh dil tujhi pe marta hai

Waiting Shayari in English for Love

Bayaan karun kaise tera intezaar hai, yeh khamoshi bhi bolti hai
Teri kami har pal mehsoos hoti hai, zindagi tujhe hi tolti hai

Inteha ho gayi intezaar ki, phir bhi aankhein tera raasta dekhti hain
Dil ko yaqeen hai tu aayega, is liye saansein bhi rukti hain

Haan tera intezaar hai hamsafar, tu hi meri har khushi ka sabab hai
Tere bina yeh jahan adhoora hai, tu hi mera sab hai

Chand ka intezaar hai raat bhar aankhon mein basa rehta hai
Har sitara uski khabar deta hai, dil phir bhi udaas rehta hai

Guzar hi jayega yeh waqt bhi dheere dheere
Bas tera intezaar hi dil ko zinda rakhe hai

Yeh bhi ek raat kat hi jayegi
Subah-e-farda ki muntazir hai nigah

Woh keh gaya ke mera intezaar mat karna
Main kahoon bhi to mujh par aitbaar mat karna

Na koi khabar hai na koi nishaan tera
Phir bhi har lamha bas tera hi intezaar hai

Main bebas para tere intezaar mein hoon
Main khada ishq ke darbaar mein hoon

Tu ne dekha nahi kabhi palat kar mujhe
Tera an-dekha jaan-nisaar hoon main

Dil mein nakaam hasratein le kar
Hum tera intezaar karte hain

Dil todne walay kya jaanay dil ka dard
Tamaam shehar hi dast-e-sawal raha

Sirf tere intezaar mein
Kitni baharein hum ne guzaar di

Tere laut aane ke intezaar mein
Sirf tere intezaar mein.

Intezaar Quotes in English

Intezaar Quotes in English

“Isi khayal mein har shaam intezaar kati
Woh aa rahe hain, woh aaye, woh aaye jaate hain”

“Thak gaye hum karte karte intezaar
Ek qayamat un ka aana ho gaya”

“Kabhi to dair o haram se tu aaye ga wapas
Main mai-khane mein tera intezaar kar loonga”

“Dekha na hoga tune magar intezaar mein
Chalte hue samay ko thehrte hue bhi dekh”

“Wada nahi, paigham nahi, guftagu nahi
Hairat hai ae Khuda mujhe kyun intezaar hai”

“Teri aamad ki muntazir aankhein
Bujh gayin khaak ho gaye raste”

“Itna main intezaar kiya uski raah mein
Jo rafta rafta dil mera beemar ho gaya”

“Woh intezaar ki chokhat pe so gaya hoga
Kisi se waqt to poochain ke kya baja hoga”

“Kab woh aayenge ilahi mere mehmaan ho kar
Kaun din, kaun baras, kaun maheena hoga”

“Raat beeti to yeh yaqeen aaya
Jis ko aana tha woh nahi aaya”

“Yeh waqt band dareechon pe likh gaya
Main ja raha hoon, mera intezaar mat karna”

“Khula hai dar pe tera intezaar jata raha
Khuloos to hai magar aitbaar jata raha”

“Hadd se guzra jab intezaar tera
Maut ka hum ne intezaar kiya”

“Meri naash ke sarhane woh kharay yeh keh rahe hain
Isay neend yun na aati agar intezaar hota”

“Hua hai yun bhi ke ek umar apne ghar na gaye
Yeh jaante thay koi raah dekhta hoga”

“Aisi hi intezaar mein lazzat agar na ho
To do ghari firaaq mein apni basar na ho”

“Tum aa gaye ho tum mujh ko zara sambhalne do
Abhi to nasha sa aankhon mein intezaar ka hai”

“Hai kis ka intezaar ke khwab adam se bhi
Har baar chaunk parte hain aawaz-e-paa ke saath”

Attitude Wait and Watch Shayari for Status

“Main intezaar zaroor karta hoon, par kisi ke liye rukta nahi”

“Wait and watch ka style alag hai mera, waqt khud mera jawab dega”

“Intezaar unka hai jinhein meri qadar ho, warna main kisi ka mohtaaj nahi”

“Main khamosh hoon to kamzor mat samajhna, yeh intezaar hai meri chaal hai”

“Wait and watch kar, meri kahani abhi shuru hui hai”

“Jo mujhe chhor gaye thay, ab wohi mera intezaar karenge”

“Main rukta nahi, bas waqt ko apni taraf aane deta hoon”

“Intezaar mera nahi, ab unka imtihaan hai”

“Waqt lagega samajhne mein, main kya hoon aur kya kar sakta hoon”

“Wait and watch… main badal nahi raha, main sabit ho raha hoon”

“Sabar kar, waqt tera bhi aayega aur jawab bhi tera hi hoga.”

“To sabar rakh, jo tera hai woh tujhe zaroor milega.”

Final Thoughts

Hope you like the collection of our Intezaar (waiting) shayari. You can easily copy and paste them and share attitude shayari on your WhatsApp status, Instagram captions, and other social media to express your inner feelings in a heartfelt way.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top