Life keeps changing, and waqt shayari in English beautifully expresses those moments we all feel but cannot always explain. From bad time shayari on life to motivational waqt and inspirational time quotes, this collection brings deep meaning in simple words.
You can use these lines as captions, status, or meaningful messages to share your emotions about time. Whether it’s the clock of love, struggle, or growth, this waqt shayari in English and time poetry in Roman English text will connect with your heart and reflect real-life experiences.
Waqt Shayari in English
Subah hoti hai shaam hoti hai
Umar yunhi tamaam hoti hai
Waqt rehta nahi kahin tik kar
Aadat iski bhi aadmi si hai
Or bury waqt me mun more leney waly
Ham tuhy apny achy waqt me bhi yaad raky gy
Waqt karta hai parvarish barson
Hadsa ek dam nahi hota
Waqt achha bhi aayega Nasir
Gham na kar zindagi padi hai abhi
Sada aish dauran dikhata nahi
Gaya waqt phir haath aata nahi
Unka zikr unki tamanna unki yaad
Waqt kitna qeemti hai aaj kal
Log badalty mosamo ki tarah
badal jaty hai waqt k sath sath
Ik saal gaya ik saal naya hai aane ko
Par waqt ka ab bhi hosh nahi deewane ko
Kehte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahi
Ja maykade se meri jawani utha ke la
Waqt ke saath log bhi badal jate hain
Kal jo apne the aaj ajnabi nazar aate hain
Sab kuch to hai kya dhoondti rehti hain nigahein
Kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahi jata
Ghazal usne chhedi mujhe saaz dena
Zara umr-e-rafta ko awaaz dena
Aur kya chahti hai gardish-e-ayyaam ke hum
Apna ghar bhool gaye unki gali bhool gaye
Dilli mein aaj bheek bhi milti nahi unhe
Tha kal talak dimaag jinhe taaj-o-takht ka
Ya wo the khafa hum se ya hum hain khafa un se
Kal unka zamana tha aaj apna zamana hai
Waqt barbaad karne walon ko
Waqt barbaad karke chhodega
Waqt ki gardishon ka gham na karo
Hausle mushkilon mein palte hain
Bura waqt aata hai to sab pehchaan ho jati hai
Jo apne lagte the unki bhi asliyat saamne aa jati hai
Bure waqt mein jo saath khade reh jate hain
Wahi log zindagi mein sach mein apne kehlate hain
2 line Bura Waqt Shayari in English
Waqt ke paas hain kuch tasveerein
Koi dooba hai ke ubhra dekho
Waqt jab karvatein badalta hai
Fitna-e-hashr saath chalta hai
Guzarte waqt ne kya kya na chara saazi ki
Warna zakhm jo usne diya tha kaari tha
Roke se kahin haadsa-e-waqt ruka hai
Sholon se bacha shehar to shabnam se jala hai
Waqt ne kis aag mein itna jalaya hai mujhe
Jis qadar roshan tha main us se zyada roshan hua
Ye na-guzer hai umeed ki numoo ke liye
Guzarta waqt kahin tham gaya to kya hoga
Hum ek shehar mein the ek nadi ki doori par
Aur us nadi mein koi aur waqt behta tha
Waqt ki mauj humein paar lagati kaise
Hum ne hi jism se baandhe hue pathar the bahut
Rakh diya waqt ne aaina bana kar mujh ko
Ru-ba-ru hote hue bhi main faramosh raha
Mujhe tarash ke rakh lo ke aane wala waqt
Khazaf dikha ke guhar ki misaal poochega
Kis tarah umr ko jaate dekhoon
Waqt ko aankhon se ojhal kar de
Kal hum aaine mein rukh ki jhurriyan dekha kiye
Karwan-e-umr-e-rafta ka nishan dekha kiye
Waqt ki wehshi hawa kya kya uda kar le gayi
Ye bhi kya kam hai ke kuch uski kami maujood hai
Kya zara sa waqt badla sab ne aankhein pher li
Bebasi par muskurate hain mere ahbaab dekh
Bury waqt me tum chalo iske saath ya na chalo
Paanv rukte nahi zamane ke raftar se
Gaya jo haath se wo waqt phir nahi aata
Kahan umeed ke phir din phirein hamare ab
Waqt ki sai-e-musalsal kaargar hoti gayi
Zindagi lahza ba lahza mukhtasar hoti gayi
Mohabbat mein ik aisa waqt bhi aata hai insaan par
Sitaron ki chamak se chot lagti hai rag-e-jaan par
Time Shayari in English
Har time zakhm ka marham to nahi ban sakta
Dard kuch hote hain ta-umr rulane wale
Ye paani khamoshi se beh raha hai
Ise dekhen ke is mein doob jaayein
Wo time ka jahaz tha karta lihaz kya
Main doston se haath milane mein reh gaya
Ye mohabbat ka fasana bhi badal jayega
Waqt or time ke saath zamana bhi badal jayega
Guzarne hi na di wo raat maine
Ghadi par rakh diya tha haath maine
Time or waqt ki bat hain janab
Acha bura sab ka ata hai
Roz milne pe bhi lagta tha ke jug beet gaye
Ishq mein waqt ka ehsaas nahi rehta hai
Us waqt ka hisaab kya doon
Jo tere baghair kat gaya hai
Umar bhar milne nahi deti hain ab to ranjishen
Waqt hum se rooth jaane ki ada tak le gaya
Bachon ke saath aaj use dekha to dukh hua
Un mein se koi ek bhi maa par nahi gaya
Ham bury wat me saath dene waly
kisi ka acha waqt dekh k salam nai krty
Tu mujhe bante bigadte hue ab gaur se dekh
Waqt kal chaak pe rehne de na rehne de mujhe
Rabita lakh sahi qafila-salar ke saath
Hum ko chalna hai magar waqt ki raftaar ke saath
Wo the jawab ke sahil pe muntazir lekin
Samay ki naav mein mera sawal doob gaya
Hazaron saal safar karke phir wahi pahunche
Bahut zamana hua tha hamein zameen se chale
Allah tere haath hai ab aabru-e-shauq
Dam ghut raha hai waqt ki raftaar dekh kar
Sab aasaan hua jata hai
Mushkil waqt to ab aaya hai
time ab dastaras mein hai Akhtar
Ab to main jis jahan tak ho aaoonn
Time ko bas guzar lena hi
Dosto koi zindagani hai
Bad Time Shayari in English
Waqt ka patthar bhaari hota jata hai
Hum mitti ki soorat dete jate hain
Waqt poojega humein waqt humein dhoondega
Aur tum waqt ke humraah chaloge yaaro
Sail-e-zaman mein doob gaye mashhoor-e-zamana log
Waqt ke munsif ne kab rakha qayam unka naam
Mujh ko ab kaise pa sakega koi
Waqt tha aur guzar gaya hoon main
Shorish-e-waqt hui waqt ki raftaar mein gum
Din guzarte hain tere khwab ke asar mein gum
Bekaar gaya ban mein sona mera sadiyon ka
Is shehar mein to ab tak sikka bhi nahi badla
Ankhy Kitni bhi pyari ho har ek shay se jee ukta jata hai
Waqt ke saath to chamkile zevar bhi kale pad jate hain
Din guzarte ja rahe hain aur hujoom-e-khush-guman
Muntazir baitha hai aab o khaak se bichhra hua
Waqt ki laash pe rone ko jigar hai kis ka
Kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain
Time bura ho ya acha ho guzar jata hai
Par yaad to wo rehty hai jo chor k chaly jaye
Jo nahi hai waqt ka humsafar use subah-o-shaam kya khabar
Ho kisi ka waqt pe kya asar bhala waqt kis ka ghulam hai
Waqt be-waqt badi door chala jata hoon
Chand toote hue khwabon ka sahara le kar
Chup chup makaan raste gumsum nidhaal waqt
Is shehar ke liye koi deewana chahiye
Parda-e-shab se nikalne ka nahi leta naam
Aaj sooraj hi savera nahi hone deta
Achhe waqt ki ek nishani hai
Doston ka zyada na hona
Or bury time me saath dene walo
Hamari achi waqt me sath ho gy
Bagh ka dard usi phool ke dil se poochho
Muskuraata hua jo daur-e-khizan se guzre
Ham bury nai hai janab
Bas acha waqt ane do
Bura Waqt Quotes in English Text
“Bura waqt sab ka aata hai zindagi mein
Magar ye hi insaan ko mazboot bana jata hai”
“Waqt jab bura hota hai to sab badal jata hai
Apne bhi paraye lagne lagte hain”
“Har mushkil waqt ek paighaam laata hai
Sabr karo, behtar din bhi aata hai”
“Bura waqt bhi guzar hi jata hai
Bas himmat aur yaqeen zaroori hota hai”
“Waqt ne sikha diya hai tanha rehna
Ab kisi se zyada umeed nahi rahi”
“Zindagi ka bura waqt sab kuch dikha deta hai
Kaun apna hai aur kaun sirf naam ka”
“Waqt ki maar se koi bach nahi saka
Magar jo sambhal gaya wahi jeet gaya”
“Bura waqt dil ko tod zaroor deta hai
Magar insaan ko samajhdar bhi bana deta hai”
“Kabhi hansata hai kabhi rulata hai
Ye waqt hi hai jo sab kuch sikhata hai”
“Waqt ke saath sab theek ho jata hai
Bas thoda sabr aur hausla chahiye”
“Bura waqt aaina hota hai zindagi ka
Jo sach dikha deta hai bina dare”
“Mohabbat bhi badal jaati hai waqt ke saath
Jo kal apna tha aaj ajnabi lagta hai”
“Waqt par naaz karne walon ko yaad rahe
Ye kabhi kisi ka hamesha nahi hota”
“Bad time mein jo saath de wahi apna hai
Warna bheed mein sab apne lagte hain”
“Waqt har zakhm ko bhar deta hai dheere dheere
Magar nishaan kabhi mit nahi paate”
“Zindagi mein bura waqt zaroor aata hai
Magar hamesha ke liye nahi rehta”
“Jo waqt ki qadar karta hai
Waqt uski qadar zaroor karta hai”
“Bura waqt insaan ko giraata nahi
Balkay uthna sikha deta hai”
“Waqt ke saath chalna seekh lo
Warna zindagi peeche chhoot jaati hai”
“Har raat ke baad subah zaroor aati hai
Isi tarah bura waqt bhi dhal jata hai”
Time and Waqt Status
Alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat
Ye waqt meri rasai ka waqt hai ke nahi
Wo nazar aayi mujhe rail ki khidki se magar
Tay-shuda waqt mein zanjeer nahi kheench saka
Tez hawa ke saath chala hai zard musafir mausam ka
Os ne daaman thaam liya to pal do pal ko ruka bhi hai
Kahan ke dost kaise aqraba jab waqt padta hai
Museebat mein kisi ki dosti se kuch nahi hota
Is liye kaatta hoon ye ghadiyan
Waqt ki chaal kaamyab na ho
Tujhe kuch waqt chahiye meri jaan
Waqt hi to nahi bacha mere paas
Lamha dar lamha guzarta hi chala jata hai
Waqt khushboo hai bikharata hi chala jata hai
Time ne sikha diya hai sabr ka matlab mujhe
Ab har dard pe muskurana aadat si ho gayi hai
Har lamha kuch na kuch sikha kar chala jata hai
Waqt hi hai jo insaan ko badal jata hai
Waqt ke saath chalna hi behtar hai dosto
Warna yaadein peeche reh jaati hain aur hum akela
Kabhi waqt saath deta hai kabhi aazmaata hai
Zindagi ka har mod kuch naya sikhaata hai
Waqt ka kya hai ye to guzar hi jayega
Insaan hi hai jo har baat dil se laga leta hai
Awqaat or waqt ka koi baroosa nai
Jab palat jaye gy tu ap k nendy or jaye gi
Final Thoughts
Hope you like our collection of time waqt shayari in Roman English text that you can easily copy and paste to share on your Instagram captions, messages, and social media status at the perfect time.
